Altcoins Talks - Cryptocurrency Forum

Local => Urdu (Pakistan) => Topic started by: WatChe on March 14, 2024, 04:28:57 AM

Title: Ramadan Mubarak
Post by: WatChe on March 14, 2024, 04:28:57 AM
AslomAlukm

Tmam dostoon ko Ramadan ka ba barkat mahina boht boht mubarak ho. Hum kush naseeb hn ka Allah Pak na hman apni life ma eik aur Ramdan dekhna ka moqa dea. Is Mah e Moqadas ka fayda utha kr hum apni dunya aur akhrat dono ko sanvar saqta hn.

Ap Dosto na kya socha hy ka is mah ma kya krna hy? Mera to ya target hy ka regularly Namaz e taraweeh parhoon.

Dua hy Allah hum sub ko is mah ka bhar poor fayda uthana ke taufeeq dy.

Apke duayon ka talab gar.
Title: Re: Ramadan Mubarak
Post by: Gladitorcomeback on March 14, 2024, 11:33:39 AM
وعلیکم السلام ورحمتہ اللہ وبرکاتہ

apko b Ramzan Mubarak ho. Ha waqi aisa hee ha. Es month k leye hamare nabi ﷺ Rajab se Dua karte the k Ya Allah rajab aur shaban ma barkat atha kar de aur Ramzan thak pohncha de. Ab Ramzan aaya ha tho ab koshish ye ho k jis tarah eska haq hs us tarah eska haq ha us tarah aamal kie jae knhaq ada ho. Ziada tar waqt Nawafil , Quran Pak ki telawat aur Azkar ma lage. Ye month sela Rehhmk kanha tho saare reshte daro se taluqat sahe kie jae. es k elawa har mumkin makhlooqr khuda ko nafa pohnchnae ki kee jae
Title: Re: Ramadan Mubarak
Post by: Jamal Aezaz on March 14, 2024, 07:18:37 PM
AslomAlukm

Tmam dostoon ko Ramadan ka ba barkat mahina boht boht mubarak ho. Hum kush naseeb hn ka Allah Pak na hman apni life ma eik aur Ramdan dekhna ka moqa dea. Is Mah e Moqadas ka fayda utha kr hum apni dunya aur akhrat dono ko sanvar saqta hn.

Ap Dosto na kya socha hy ka is mah ma kya krna hy? Mera to ya target hy ka regularly Namaz e taraweeh parhoon.

Dua hy Allah hum sub ko is mah ka bhar poor fayda uthana ke taufeeq dy.

Apke duayon ka talab gar.

Walikumsalam bhai kher mubarak ho apko be bahut bhut mubarak ho is me koi shak nahe ramzan ka maheena bhut he barkat wala maheena hota he is maheene me jetne talawat karey nafal parhe aur kushish karey har nemaz jamat ke sat parhe aur iftari ke time dua karne chahie iftari se 10 ment pehle aur tahajud parhna chahie sadaqat dena chahie aur sat sat me zakat be dena chahie ramzan ke maheeene me nekiyan bhut zeyada melti he to ramzan ka maheena aisa na guzre jese aam maheene guzarte he.
Title: Re: Ramadan Mubarak
Post by: Themepen on March 15, 2024, 07:52:40 AM
Walaikumuslam!

Apko bhi bohat bohat mubarak ho bhai. Sorry I am late. Baqi I will try to my best k next time yahan par active rahun. Taa ky ap sy updates bhi milti rahen.

Allah hamen mahiny ky sadqy sy bakhsh dy Allah hamen sahi mano my barkten lootny ki tofiq dy. Aammeennn.
Title: Re: Ramadan Mubarak
Post by: Jamal Aezaz on March 15, 2024, 07:51:15 PM
Walaikumuslam!

Apko bhi bohat bohat mubarak ho bhai. Sorry I am late. Baqi I will try to my best k next time yahan par active rahun. Taa ky ap sy updates bhi milti rahen.

Allah hamen mahiny ky sadqy sy bakhsh dy Allah hamen sahi mano my barkten lootny ki tofiq dy. Aammeennn.

Koi bat nahe bhai ha good bro kushish kare ke acive rahe jab sare bhai active honge to yaha pe har kesam ke update melege jes me sub ko har cheez asane hogi aur dosre bat ye barkat wala maheena he ramzan ka ye pehle he ibadat me jetna zeyada time diya jaye bhut behter he eid ke bad pher zeyada active rehna chahie abe agar kam be acive ho koi masla nahe he q ke update to ate jate he magar ramzan ka maheena khali na guzre jetne zeyada talawat aur ibadat karey utna zeyada sawab melega aur ramzan ke maheena me nekia be double melte he to ibadat me zeyada time diya karo baqe Insha Allah eid ke bad pher zeyada active rehna.
Title: Re: Ramadan Mubarak
Post by: Themepen on March 16, 2024, 08:31:32 AM

Bhai sath sath hi chalna hai ibadat bhi kaam bhi. Baqi koshish to ab yehi hai ky active hi raha jaye.
Baqi ap sunaen kesi chal rahi hai life sab okay hai. Or ap ky rozy kesy chal rahy hen?
Title: Re: Ramadan Mubarak
Post by: WatChe on March 16, 2024, 10:46:56 AM
وعلیکم السلام ورحمتہ اللہ وبرکاتہ

apko b Ramzan Mubarak ho. Ha waqi aisa hee ha. Es month k leye hamare nabi ﷺ Rajab se Dua karte the k Ya Allah rajab aur shaban ma barkat atha kar de aur Ramzan thak pohncha de. Ab Ramzan aaya ha tho ab koshish ye ho k jis tarah eska haq hs us tarah eska haq ha us tarah aamal kie jae knhaq ada ho. Ziada tar waqt Nawafil , Quran Pak ki telawat aur Azkar ma lage. Ye month sela Rehhmk kanha tho saare reshte daro se taluqat sahe kie jae. es k elawa har mumkin makhlooqr khuda ko nafa pohnchnae ki kee jae

Dua hy Allah sa ka hum sub ko wo in cheezon pr amal krna ke taufeeq dy. Ap na boht achi baat ke ky relatives jin ka saath taluqat sahi nhi us sa dosti krni chahya. Iska best hal yahi hy ka apna naraz relatives ko aftari pr davat de jya.

Walikumsalam bhai kher mubarak ho apko be bahut bhut mubarak ho is me koi shak nahe ramzan ka maheena bhut he barkat wala maheena hota he is maheene me jetne talawat karey nafal parhe aur kushish karey har nemaz jamat ke sat parhe aur iftari ke time dua karne chahie iftari se 10 ment pehle aur tahajud parhna chahie sadaqat dena chahie aur sat sat me zakat be dena chahie ramzan ke maheeene me nekiyan bhut zeyada melti he to ramzan ka maheena aisa na guzre jese aam maheene guzarte he.

Bilqil sahi kaha ap na. Is month ma hman koshish krni chahya ka zayda sa zayda dosroon ke madad krni chahya. Kyunka Roza hy he is cheez na naam ka hum bhook pyas ke takleef ko samjhan aur dosron ko is sa nijat delayan.

Walaikumuslam!

Apko bhi bohat bohat mubarak ho bhai. Sorry I am late. Baqi I will try to my best k next time yahan par active rahun. Taa ky ap sy updates bhi milti rahen.

Themepen bhai ma khud bhe yahan koe zayda active nhi rehta. Yahan ke sab sa achi baat ya hy ka yahan eik separate board hy aur bnda apni pasand ka ideas ko separate thread ke sorat ma post kr saqta hy.

Allah hamen mahiny ky sadqy sy bakhsh dy Allah hamen sahi mano my barkten lootny ki tofiq dy. Aammeennn.

Ameen
Title: Re: Ramadan Mubarak
Post by: Gladitorcomeback on March 16, 2024, 06:41:59 PM

Dua hy Allah sa ka hum sub ko wo in cheezon pr amal krna ke taufeeq dy. Ap na boht achi baat ke ky relatives jin ka saath taluqat sahi nhi us sa dosti krni chahya. Iska best hal yahi hy ka apna naraz relatives ko aftari pr davat de jya.

Yes great idea ha ye. Ek tho dawat ho jaege aur dosra narazgi door ho jaegee. Wese month ma ek bar banda koi program kar lia kare apne qareeb reshtedaro k leye. es se ek tho gupshup ho jathe ha aur dosra dilo ma muhabbat paida ho jathe ha. Rishtedar k leye jo qadam insan letha ha sela rehmi k leye tho har qadam par ek naiki miltebha. jis tarah masjid ma nemaz k leye sawab ha es tarah rishtedar se mulaqat par b sawab ha

Themepen sir apko yaha dekh kar khushi huwe k ap active hogae ha. ye thread kaafi active hogia ha Masha Allah se. Allah Pak es ma mazeed tarqi de tha k hamare community phale phoole
Title: Re: Ramadan Mubarak
Post by: Jamal Aezaz on March 21, 2024, 07:54:19 PM
Dua hy Allah sa ka hum sub ko wo in cheezon pr amal krna ke taufeeq dy. Ap na boht achi baat ke ky relatives jin ka saath taluqat sahi nhi us sa dosti krni chahya. Iska best hal yahi hy ka apna naraz relatives ko aftari pr davat de jya.

Beshak ye bat sahe kaha ke jo reshtedar naraz ho aur un sub ko iftari ka dawat kiya jaye q ke sawab bahut zeyada he aur sath sath narazgi be insan ke door ho jayegi agar haqaiat bayan kiya jye to yahe ek ramzan ka maheena hota he jes me logo ke dil tore naram aur ghusa kam ho jata he aur gunah se insan tora kuch bach jata he warna insan ko chahie wo 12 maheene naram dil rahe magar insan he bhut kamzor aur gunaho me dooba hoa he Allah Pak sub ko naik insan banay Ameen

Bilqil sahi kaha ap na. Is month ma hman koshish krni chahya ka zayda sa zayda dosroon ke madad krni chahya. Kyunka Roza hy he is cheez na naam ka hum bhook pyas ke takleef ko samjhan aur dosron ko is sa nijat delayan.

Belkul har kese ko chahie wo ramzan ke maheene me sadqa kare aur aur khas kar zakat de q ke ramzan ke maheene me sawap buhut zeyada hota he asal cheez ye nahe ke hum pyase aur bhooke rahe asal cheez ye hum amal kese karte he ken ken gunaho se bach jate he asal ramzan ka maheena yahe hota he.
Title: Re: Ramadan Mubarak
Post by: Gladitorcomeback on March 22, 2024, 03:58:05 PM
السلام عليكم ورحمة الله وبركاته

Umeed ha sav bhai kher kheriat se honge. Aj Ramzan ka pehla ashra khatam huwa aur aj maghrib se naya ashra start huwa ha. Pehla ashra rahmat ka hotha ha jis ma har qism ki rahmate barasti ha. Khush naseeb ha wo log jis ko es maheene ma poore poore rahmate naseeb ho. 2 logo ko rahmate naseeb nahe hothe, ek wo jis k gar ma kutta ho aur wo jis k gar ma tasveer latke ho. Koshish kare k tasveeer latkane se parhez kare es leye k shirk ki ibteda yaha de huwe the. Walidain ki fsrnanbardi ki lazmi pakre aur jo ho sake wo naik aamal kare .....

Dosra ashra maghfirat ka hotha ha tho es ma khoob maghfirat ki dua kare tha k hamare kkhtahii ko Allah Pak maaf farmae

اَسْتَغْفِرُ اللہَ رَبِّی مِنْ کُلِّ زَنْبٍ وَّ اَتُوْبُ اِلَیْہِ
Title: Re: Ramadan Mubarak
Post by: Themepen on March 23, 2024, 08:35:11 AM
السلام عليكم ورحمة الله وبركاته
Walaikumuslam bhai. Dekh len waqt guzrty pata bhi nai lagta abhi kal ki hi bat hai ham log ek dusry ko Mubarak bad dy rahy thy. Jab ky ab to ek ashra bhi guzar gaya or ye Mubarak mahina ham sy door hota jaa raha hai.
Or next time pata nai ye naseeb ho ky naa ho. Allah hi jany.
Allah hamen baqya jo din reh gaye hen hamen khoob rehmtem lootny ki tofiq dy aammeennn.
Title: Re: Ramadan Mubarak
Post by: Jamal Aezaz on March 26, 2024, 07:15:16 PM
Walaikumuslam bhai. Dekh len waqt guzrty pata bhi nai lagta abhi kal ki hi bat hai ham log ek dusry ko Mubarak bad dy rahy thy. Jab ky ab to ek ashra bhi guzar gaya or ye Mubarak mahina ham sy door hota jaa raha hai.
Or next time pata nai ye naseeb ho ky naa ho. Allah hi jany.
Allah hamen baqya jo din reh gaye hen hamen khoob rehmtem lootny ki tofiq dy aammeennn.

Belkul bro kes trah din guzar gaye pata he nahe chala kal 16 ramzan he ketne jalde guzar gaye yar belkul next ramzan kes ke naseeb me hoga kes ke nahe ALLAH Pak hum sub ko maff karey Ameen aur belkul Allah hume ye next jo roze reh gaye usme hum ache trah talawat karey aur ek 3 din ka saroza lagaye Insha Allah mera be irada he ke roze me 3 din ka saroza lagao q ke ramzan me sawab bhut zeyada he to mere kushish he Jumme ko shyed hum saroze ke liye chalae jaye 3 din he aisy guzar jaynge ke pata be nahe chalega magar swab bhut zeyada hoga.
Title: Re: Ramadan Mubarak
Post by: compromise me on March 26, 2024, 10:56:57 PM
Waalikun assalam.

Ap ko b Bhai Ramzan ka mahina bhot bhot Mubarak,
Is mahine roza namaz aur namazy tarabi aur Quran pak ke talawar k ilawa hamien Allah ke rah me jitna dy saky tona dien , bar char k rozay khul aur agar kis bhi NY zoqat Nikal ni hai to ye sab Sy barkaton Wala mahiena hai zoqat nikalien

Aur saqqia fitr b dy wo b hamien gar k har member ka Jo k Eid Sy phely phely farz hai jis Sy hamray rozon me kami aur guna maff ho jatien hain .
Title: Re: Ramadan Mubarak
Post by: Gladitorcomeback on March 29, 2024, 04:49:37 AM
Waalikun assalam.

Ap ko b Bhai Ramzan ka mahina bhot bhot Mubarak,
Is mahine roza namaz aur namazy tarabi aur Quran pak ke talawar k ilawa hamien Allah ke rah me jitna dy saky tona dien , bar char k rozay khul aur agar kis bhi NY zoqat Nikal ni hai to ye sab Sy barkaton Wala mahiena hai zoqat nikalien

Aur saqqia fitr b dy wo b hamien gar k har member ka Jo k Eid Sy phely phely farz hai jis Sy hamray rozon me kami aur guna maff ho jatien hain .

Ma ne tho Allah k Fazal se Sadqa Fitr Ramzan k pehle Ashre he ma nekal lia aur es k sath sath baqi family members ka b nekala ha aur taqseem kar dia ha. Hamare madrasse k Chand talib Ilm jin k andar k halat ka muje bakhoibi ilm ha tho ziada unko dia aur baqi jo b sahe haqdar lagte the un kobde dia ha. Baqi inshaAllah Allah Pak qabool karne wale ha k dilo k bhed wo hee jante ha. Jis ko Allah Pak ne maal dia ha aur Dil dia ha tho wo kish mish se zakat nekal ke ya kajoor kk hesab se k ghareeb ko ziada nafa ho aur aakhirat ma zakheetabho jae
Title: Re: Ramadan Mubarak
Post by: Faisal2202 on March 31, 2024, 10:52:29 PM
AslomAlukm

Tmam dostoon ko Ramadan ka ba barkat mahina boht boht mubarak ho. Hum kush naseeb hn ka Allah Pak na hman apni life ma eik aur Ramdan dekhna ka moqa dea. Is Mah e Moqadas ka fayda utha kr hum apni dunya aur akhrat dono ko sanvar saqta hn.

Ap Dosto na kya socha hy ka is mah ma kya krna hy? Mera to ya target hy ka regularly Namaz e taraweeh parhoon.

Dua hy Allah hum sub ko is mah ka bhar poor fayda uthana ke taufeeq dy.

Apke duayon ka talab gar.
Wa alaikum asalam dear i hope you are doing fine, mujhy pta hai ky mai kafi late hoon is thread pr reply deny ky liya, us ky liya mazrat. ab to 20 roza start hony lga hai, baki Allah ky karamo fazal sy rozay badhy fit gy or agy bi fit jain gy insha Allah sbi ky hi. Apka target masha Allah badha behtreen hai, lekin wo to lazmi padhna chahiya, ap Quran ko bi sath padhny ka target banay. Well, tarweeh to Alhamdulilah shuruh sy hi padhty thy lekin is baar puri nhi padhi.

phly mera target hota tha 1 Quran khtm krny ka, lekin wo ho nhi pata tha is baar na target rkha na hi phly jitna padh ska. Mtlb target sy waqai asr padhta hai like bnda apna mind bna leta hai or phr niyat krta hai dua krta hai or kaam hony lgta hai. Khuda hm sbko Ramzan ky sary rozy rkhny ki toufeeeq ata frmy ameen. apni dua my mujhy bi yaad rkhiya ga.
Title: Re: Ramadan Mubarak
Post by: Jamal Aezaz on April 05, 2024, 09:21:07 PM

Bro kushish karey ramzan  ke ye kuch din he jetne zeyada yalawat ya nafal parho bhut behter he aur Quran Pak ke Talawat karo sawap 70 guna bhar jata he agar koi kam ya masrofiyat na ho pher kushish karo ke 3 din ke liye tableegh ne neklo aur kushish karo ke sal me qauran pak ki 2 dafa mukamal karo ye hum pe haq he aur Insha Allah mene irada kiya he ab sal me 2 dafa Quran Pak ke 2 dafa mukamal karonga Insha Allah aur agar insan din me 10 ment se le kar 20 ment tak qauarn Pak ke talawat karega to 2 dafa kar sakta he aur daily hesab se talawat be insan ka hoga.
Title: Re: Ramadan Mubarak
Post by: Gladitorcomeback on April 11, 2024, 03:30:25 AM

Allah k fazal se ye ramzan ka babarkat maheena guazar gia. Ramzan k maheena ma sehat ho tho ye ek bare naimat ha es leye k sehat na ho tho ebadat ma us tarah se dil nahe lagta. Allah ka shukar ha k es baar muje koi marz lahiq nahe huwa. Pechle Ramzan ma tho muje maide ka masla huwa tha jis se ebadat aur telawat ma jism ma takleef ki waja se aur kamzori ki waja se wo maza na tha. Kher jo b. hotha wo Allah pak ki marzi se hotha ha.

Wese es Eid ma kisi ka tour program ha? ham ne tho Kalam ka program bnaya tha ,ab dekhte ha k kaise amal hotha ha us par
Title: Re: Ramadan Mubarak
Post by: Jamal Aezaz on April 11, 2024, 08:44:52 PM

Beshak is me koi shak nahe he ke insan ke sehat ache ho to roze ache hote he Allah Pak ka shukar he roze bahut ache guzre he me just ek din bemar hogya ta pher shukar he Allah pak ka ke ek dam Allah Pak ne sehat diya he aur baqi rozo me yaqeeqan bhut maza aya aur bhut ache guzre aur eid be acha guzra ab dekte he parogram banayge kahe ache jaga chale jaye abe hum be parogram bana rahe he kuch jage he jese ke swat aur muree aur naran kaghan kazan logo ke sat mashwara krfenge.
Title: Re: Ramadan Mubarak
Post by: Faisal2202 on April 11, 2024, 11:00:40 PM
Allah k fazal se ye ramzan ka babarkat maheena guazar gia. Ramzan k maheena ma sehat ho tho ye ek bare naimat ha es leye k sehat na ho tho ebadat ma us tarah se dil nahe lagta. Allah ka shukar ha k es baar muje koi marz lahiq nahe huwa. Pechle Ramzan ma tho muje maide ka masla huwa tha jis se ebadat aur telawat ma jism ma takleef ki waja se aur kamzori ki waja se wo maza na tha. Kher jo b. hotha wo Allah pak ki marzi se hotha ha.

Wese es Eid ma kisi ka tour program ha? ham ne tho Kalam ka program bnaya tha ,ab dekhte ha k kaise amal hotha ha us par
Bilkul sai kaha dear ap ny sehat bohat badhi nemat hai, khuda sy yehi dua hoti hai ky sehat bhtr rhy ku ky mai ny bi yeh dekha hai ky sehat ki waja sy insan kafi mushkil my ho jata hai rozo my, mera brother aetekaf my betha tha or 5th day uski tabiyat kharab ho gai, uska bi maida kharab ho gya or oper sy dawai overdose kha li jis sy tabiyat or kharab ho gai, ulti bi a gai thi 1. paith kharab rehny ki waja sy rozy kafi mushkil sy guzary last din like on 27th roza hm ny soucha ab is aeteqaf sy utha lety hain as sehat kafi kharab ho gai thi.

Lekin khuda ky karam sy wo last dawai kaam kr gai, or wo thik ho gya or khuda ky karam sy us ky rozy bi pury howy or aetakaf ky din bi. Isi sy andaza ho jata hai ky sehat bohat zarori hai rozo ky andr. Wesy to hr marz ki dawa hai agr apko maraz hamesha nhi rhta or kbi kbi ata hai to apko phly hi dawai leni chahiya. Khuda ka karam hai ky ap pory rozy rkh pai ho.

nhi dear abhi to koi plan nhi bnaya as first day to sota rha, aj bi soya rha 12 bjy ky qareeb utha or usky baad mehman gr hi agy, hahaha. Ab itni door kya hi jana lekin agr group ho sath yeh dost wagera hoon to bnda plan bna hi leta hai. Wesy kalam my hai apka koi?
Title: Re: Ramadan Mubarak
Post by: ZAINmalik75 on April 13, 2024, 10:21:08 PM
AslomAlukm

Tmam dostoon ko Ramadan ka ba barkat mahina boht boht mubarak ho. Hum kush naseeb hn ka Allah Pak na hman apni life ma eik aur Ramdan dekhna ka moqa dea. Is Mah e Moqadas ka fayda utha kr hum apni dunya aur akhrat dono ko sanvar saqta hn.

Ap Dosto na kya socha hy ka is mah ma kya krna hy? Mera to ya target hy ka regularly Namaz e taraweeh parhoon.

Dua hy Allah hum sub ko is mah ka bhar poor fayda uthana ke taufeeq dy.

Apke duayon ka talab gar.
WA Allaikum Salam brother, MashALLAH Sy Ramazan toh bohout acha guzara MashALLAH Sy Mai NY toh properly utilize Kiya iss month ko kafi kuch kiya Jo bayan Karna Nahi chahiya but koshih Ki jitne possible ho rahe te utne Ki, Baki iss mahiny Ki apni Barkat itne zyada haa ky Banda khud Ki ibadat Ki taraf mail hojata haa aur shaitan toh already out of sight hota haa toh cheezo thoore khud Sy behtr hoony lagna start hote haa. Baki umeed haa ap logo NY duao mai poore community ko achy sy yaad Kiya hoga

nhi dear abhi to koi plan nhi bnaya as first day to sota rha, aj bi soya rha 12 bjy ky qareeb utha or usky baad mehman gr hi agy, hahaha. Ab itni door kya hi jana lekin agr group ho sath yeh dost wagera hoon to bnda plan bna hi leta hai. Wesy kalam my hai apka koi?
Ap logo Ki apni marzi yahi gladiator bro ki taraf ishara kar Raha hu ky ap waha jaany ka plan toh kar rahy ho but Mai NY kuch video daikhe lee jis Mai itny bandy ja rahy haa swat Kalam ky Poora road jam ho Gai haa already waha road single line hooty haa aur jab baree gaariya waha jaate haa toh saar Jam pack hojata ha toh Abhi toh suggestion haa ky kahi aur chaly jai q ky waha paharee haa aur Har step khatry Sy khaali Nahi hote
Title: Re: Ramadan Mubarak
Post by: Faisal2202 on April 13, 2024, 11:12:02 PM
Bro kushish karey ramzan  ke ye kuch din he jetne zeyada yalawat ya nafal parho bhut behter he aur Quran Pak ke Talawat karo sawap 70 guna bhar jata he agar koi kam ya masrofiyat na ho pher kushish karo ke 3 din ke liye tableegh ne neklo aur kushish karo ke sal me qauran pak ki ....
Ge bilkul badhi achi baat khi ap ny ky jb hm kisi cheez ka irada krty hain tbhi wo cheez pori hoti hai, porri nhi bi to km az km bnda kareeb to pohanch jata hai, baki dear ab to ramzan mubarak chla gya insha Allah next time quran or taraweeh pori padhny ki koshish kroon ga, 10 mint sy 20 mint tk quran padhna bohat achi baat hai lekin mery hisab sy bndy ka main maqsad tarjma ky sathhona chahiya.

aetaqaf my jo larky bethaty hain unka bi yehi zoor hota hai ky 2 sy 5 baar ya zayda baar Quan majeed padh lain, lekin bohat km tarjama ky sath padhty hain. beshak tarjama ky sath bnda words km padhta hai as 1 words ka 10 nekiya milti hain, or ramzan my 70 guna sawab badh jata hai. ab tarjama bi to zarori hai, beshak quran wesy padhny ka bi bohat sawab hai.
Title: Re: Ramadan Mubarak
Post by: Gladitorcomeback on April 23, 2024, 09:37:47 PM

Faisal bhai apke bathe belkul teek ha. Momin ki niayt aur irada us k amal se mazboooth hotha ha. Jab paki neyat hothe ha tho Allah Pak us Amal ki taufeeq b detha ha. Ma ne 4-5 saal lagatar Aitekaf kia Allah pak k fazal se aur ek bar tho ma mill ma kaam karta tha waha chuuti na mele per masjid ka khadim khud mere kamre ma aaya k aitekaf ma sirr ek banda bet raha ,ap k leye ma chutti le aaya ho. ap Aitekaf ma bet jae tho waja b betne ka mayqa mela. .

Aaj ek post par raha tha k ham jab ek hafta cigarettes ya naswar start karte ha tho kehte h k ab chor nahe sakta ed leye k aadat huwe ha aur Ramzan ka poora maheene knbad b wo aamal ham nahe karte gher Ramzan ma .
Title: Re: Ramadan Mubarak
Post by: Faisal2202 on April 27, 2024, 09:26:02 PM
Aaj ek post par raha tha k ham jab ek hafta cigarettes ya naswar start karte ha tho kehte h k ab chor nahe sakta ed leye k aadat huwe ha aur Ramzan ka poora maheene knbad b wo aamal ham nahe karte gher Ramzan ma .
Beshak dear amlo ka daro madar niyato pr hai, or masha Allah bohat kushi howi ky ap ny itni dafa aeteqaf kiya, masha Allah beshk yeh asan kaam nhi sehat bohat zaorir hai, mera chota bhai betha tham or 6th day ko sahed uski tabiat kharab ho gai jis waja sy kafi mushkiil bi howi well akhir khar khuda ki rehmat sy aetaqaf pora kr hi liya us ny. Or beshak insan jis cheez ka irada krta hai wo kisi na kisi trha sy mukamil ya pori ho hi jati hai. Acha ap factory my bi kaam krty rhy hain? Kya kaam krty thy wesy.

Lekin jo ramzan my chodhty hain wo konsa raat ko nhi peety lekin ik baat hai in logo ka waqai hosla hai haha, as idr iftari hoti nhi hai udr yeh log cigrate lga lety hain matlb idr sy sawab idr sy gunah haha. Well khuda hidayat dy hm sb ko ameen.