Altcoins Talks - Cryptocurrency Forum

Local => Urdu (Pakistan) => Topic started by: Amirshahzad119 on February 04, 2022, 01:37:26 PM

Title: Nimaz
Post by: Amirshahzad119 on February 04, 2022, 01:37:26 PM
Nimaz
Nimaz nabi s. a. w pr Meraj ki shab atta hui. Ap s.a.w NY farmaya Nimaz Momin ki Meraj hy. Nimaz ki halat me Momin Allah k qareeb hoty hein. Nimaz prhty waqat Sara Dehyan Allah ki tarf jana chahye agr yeah na ho agr aisa Mumkin na ho to yeah dehyan hona chaye k Allah pak Humien dekh raha hy.
Title: Re: Nimaz
Post by: Arslan0049 on February 21, 2022, 03:52:41 PM
No doubt Nimaz Nabi Pak S.A.W ki ankhon ki thaandak h! Roz a mehsar sb sy pehly swal b isi ka hna hum sy, So 5 wqt ki nmz jo k faraz nmazien hen bht zrori hen!
Title: Re: Nimaz
Post by: Mian Moaz on June 03, 2022, 08:39:28 AM
aoa bai ny bht achi bat ki ha namaz ky relateated namaz muslman ka sb sy bara gold ha jaisy pani roti or dosri things ky begar is dunya ma insane ka guzara nhi hota isi trha ik muslman ka b namaz ky begar guzra nhi namaz jo ha wo insane ko burai sy rokti ha ye nabi saw ky ankhon ki thandahk ha namaz deen ka satoon ha agr hum sakoon chahtry ha tu namaz ki pabandi khud b or ghar walon b krni chahye
Title: Re: Nimaz
Post by: Rai NABEEL on June 03, 2022, 01:09:15 PM
a.o.a
       umeed krta hu ap sb theek hyn, idr kiay hoy kafi comments ma ny read kiay hyn or kafi achi achi batyn be likhi gai hyn, ma kisi ko be bura bhala nhi kh rha or na hi mari asi koi intension hy ma bs ya khna chahta hun ka is forum py b tableegh shuru kr di hy muslmanoo kia bat hy apki, maray khial sy jitny b loog is forum py ay hoy hyn un sb ko isky rules and regulations study krni chahiay or isky according hi chalana chaiay.
Title: Re: Nimaz
Post by: Muneeb Ch on July 12, 2022, 08:48:09 PM
Aoa, 1 acha topic hai nimaz ka is py agr baat ki jaye to kaafi lambi speech ho skti hai. Actually nimaz Khuda ka qurb dilaati hai insaan ko nimaz prhny k baad insaan k dil ka bojh khatm ho jata hai insaan Allah knqareeb ho jata hai ye 1 tara sy exercise b hai body ki aur mind ki b ,log meditation wagiar pta ni kya kuch krty hain lekin Allah pak ny esa tohfa musalmano ko ataa kiya k insaann k mind ko relax kr deti hai, insaan ki roof ka sukoon nimaz mein hai, ye behayaai aur buray kaamon sy insaan ko dur rakhti hai.Nimaz k baad insaan k dil ki fizaa he badal jati hai, allah pak sb ko nimaaz prhny ki taufeeq ata farmaye ameen,
Title: Re: Nimaz
Post by: Muneeb Ch on July 13, 2022, 01:24:46 PM
Nimaz deen ka sutoon hai, jesy k 1 amaarat sutoonon py qayem hoti hai esy e deen k b kuch sutoon hain jin mein nimaz b 1 sutoon hai. Hamein sb sy pehly khud ki islah krni chaiye aur dusron ko b iski targeeb krni chaiye.
Title: Re: Nimaz
Post by: jim1889 on July 25, 2022, 12:51:01 PM
g ha ap bilkul 100% sahi hu
ham chay jo khuch b kar lein lakin agar namz nhi ada kary gy tu kamyab b nahi hu gy
Title: Re: Nimaz
Post by: Muneeb Ch on August 02, 2022, 04:01:06 PM
Nimaz insaan ko zaati khuwahishaat sy mehfooz rakhti aur insaan ko Allah ka qurb naseeb hota hai, shetan insaan ka peecha krta hai lekin shetaan itna pagal hai k wo apni harkaton ki wajah sy insaan ko us k rab k qareeb kr deta hau, jb insaan koi gunah krta to wo khuda ki trf palatta hai