<snip>
Baki ab new hadees Mai Jo bata rahy ha ap woh mujy samaj nahi haa ky Duf Kya ha
G, dear Duf, ak musical instrument hota hai, jo AP SAW ke zamane mai use kiya gaya tha, jab hamare piyare Nabi PAk SAW Makkah se Madinah tashreef lay kar gaye the. Tob waha ke logon ne Ap SAW ke istakbaal mein DAF bajayi thi (Bachiyoon ne DUF bajayi thi). So us waqt mein DUF use hui thi. Ab mere question ka maqsad yeh tha: Kuch cheezein sirf kisi waqt tak jaiz thi, like agar dekha jaye to ghoora ek waqt mein halal hua karta tha, lekin waqt ki nizaat ke hisaab se mana farma diya gaya tha, kyunki jang mein goro ki kani ho gayi thi. Esliya mai us hessab se pooch raha ho, ka Duf ka use abhi bhi halal hai, ke kaisi moka par mana farma diya gaya tha?
Quani Ayat of the day:"Allah kisi shaks ko uski taqat se zyada ka zimmedar nahin banata, achhe kaam karega, to unko uska faida milega, bura karega, to usne usko nuksaan pohanchy ga, Ay Parwar, deggar agar humsy bhool ya chook ho gaye ho to hum sy moavza (hissab kitaab) ka ki jiyoo, Ay parwar degaar hum par asa booj na daliyoo jaisa tu ny hum sy pehly logo par dala tha, Ay parwar deggar jitna booj hum mai utaany ki taqat nahi utna booj hum par n rakhiyoo, Aur Ay Parwar deggar hamary gunahho sy darguzar (maaf farma daina) kr or hamain baksh dy Aur hum par reham farma, Tu he hamara madadgaar hai, so humko kaaferon par galib kar,"
(Surah Al-Baqarah, Ayat no. 286)
Mai sy () brackets mai meaning likh diya hai, ta k sabko samajh lag jaye. Baki aj mai ny Hadees ki jaga Quran ki ayat share ki hai. Apna apna feedback zaroor dijiyega. Or ua bohat khoobsurat ayat hai, jismein bohat khoobsorat dua b hai hum sab ke liye.
Edit: Kuch spelling mistakes thi mai ny modify kr k correct kr d hain.