Assalamalikum to all my community, Bitcoin ke qeemat mein izafay ke baad ab BTC $42,650 zone ko test kar chuka hai. Ab phir se naye izafay ki koshish ho rahi hai aur $43,750 resistance ko paar karne ki umeed hai. Bitcoin ne $42,500 zone ke oopar se support dhoondha aur naye izafay ki shuruwat ki hai. Qeemat abhi bhi $43.5k aur 100 hourly Simple moving average ke neeche hai.

Hourly chart par BTC pair ke saath aik bearish trend line ban rahi hai jiske qareeb $43,600 par resistance hai. Agar $43,750 resistance ko paar kiya ja sake to BTC mein naye izafay ki ummeed hai. Magar agar Bitcoin $43,600 resistance ko paar nahi kar sakta toh naya giravat shuru ho sakta hai. Neeche immediate support $43k ke qareeb hai, aur agla major support $42,600 ke nazdeek hai.
Source