Han na bro bande ko ek jagha se naomidi hoti ha ha aur wo kesi dysre darwaze per jata ha per Allah ko kuch aur manzur hota ha aur ko ossi jagha se ata karta hain jahn per es ko pata hota ha ke yahn se nahe melegi. Aur oss waqt buyat oyar ata ha Allah oer aur banda bs sochta ha ke dunia ma serf ma he hun jes se Allah etna oyar karta hain
Really ma ne es bat per ghur nahe keia ha , asal ma meri posting zyada raat ke time hoti ha aur banda es time kafi zyada takha huwa hota ha tu ghalti ma shaid aysa ho geya ho khair ma apko confirm karne ke bad bata ta hun. Thanks buddy for correction
Beshak Allah he wo wahid hai jo amary liya asaaniya banata hai. Acha, ek aur baat, jab kabhi hum mushkil mein hote hain, ab logon ko dhoondte hote hain ke koi hamari madaad kar de aur aisa hi hota hai. Iske baraks, humein apne Malik se madad talab karni chahiye, aur yakeen karain es tarha Allah Rub-ul-Izzat gaib se madad farma daita hai, aur asbaab paida farma daita hai.
Baki bro, galati ho jana koi bhari baat nahi hai, as I can really understand ke raat ko banda thaka hota hai, aur galati to mai b kar sakta hoon, Baki correction ka esliya bola taaky koi misunderstanding na ho post reading ke waqat. Baki, habibi, kaha gaieeb ho ap? Ap dobarah dekh hi nahi deen duniya akhrat walay thread mein. Agar ap log waha active rahenge to mai b waha active reh paoonga aur ap logon ke liye news, hadees or Quran Pak ke translations bhi tabhi share kar paoonga.