Walaiqumassalm warahmatullahe wabarakatuho
Asal ma bat aysi ha ke Nabi Pak SAW ke ershad ka mafhum ha ke mere suhaba taro ki manend ha tu Jo os ko pakrega wo seedi rah pa lega. Tu shia log es bat ko bunyad bna kar ye short term nikkah ab be karte ha qke unke baqaol Hazrat Abass RA ne es ke bare ma kabi ye kaha ke Nabi Pak SAW ne es se mana farmaya ha ya ye cheez mana ki gaye ha tu es bat aur ahades ko base bna kar ye log ye short term nikkah karte Hain. Agr muj se poche tu aj kal gunnah Karne se behtr ha ke ye nikkah karlo per Islam tu hamri khuwaheshat ko daik kar nahe chalta tu ho hukam Allah aur rasol ka ho wo hum apni Zindagi ma be layenge aur jes bat per sub log ek ho jaye wo bat ghalat nahe ho sakti.
Brother asa abi b sheeya log krty hain laikn as mai ny apko bataya k ab allow nahi hai as ya sirf Islam k kabli deeno mai allow tha jab islam ki shurwaat howie thi. esky elawa ap ko bataata chalo pehly asa b hota tha sahaba namaz k dooran batain kiya karty thy laikn phir waqat k guzarty ya cheez b mana ho gye.
Apki post parh kr habibi mujhy asa feel ho rha hai k ap es amal ko sahee man rhy ho like short term nekkah karny mai koi pboraye nahi. Laikn TBH, agar ap meray nazdeek dakhoo to ya cheez bohat buri hai, ap es baat ko optimistic rah kar socho, Allah Pak k nazdeek talak bohat zayada bura amal hai es tarha talak wala amal b ak rawayat bun jaye gi as agar har koi short term nikkah karay or phir kuch arsy baad urat ko choor dy.
Chalai ak hor baat add krta chalo ab maybe ap sochain gy k zinnah sy to acha he hai k banda short term nikkah kar ly as zinnah k b bohat zayda gunnah hai, so for this, i would say k ya duniya moomin k liya nahi banye gye momin k liya akhrat banaye gye hai jaha par wo jannat k haq daar hoga or ya duniya usky liya ak test hai, wo banda jo apni na jaiz khawahishaat par control kary ga phir yakeenun uska reward b ukso unta he bhara milay ga. So, i don't think brother short term nikkah es cheez k solution hai jo par soch rhy hain. Baki phir b mai apky opinion ki respect karta hoo as hum yaha ak dosry sy discuss kar k ak achy end par pohanch sakty hain. Jazzak-Allah!