Assalam-o-Alaikum!
Sab bhaiyo ko Ramdan Mubarak mari taraf sy... acha mai ny ya thread ak achi neyat sy start kiya tha to q na esko es babarkat maheenay k liya wapis revive kiya jayee? Rooz ak ak hadees share ki jayee yaha par ta k humain deen k baray mai seekhny ko milay or hamaray ilam mai ezafa ho,
In this way, hamain ak dosry sy b bohat kuch seekhny ko milay ga, ak dosry ki eslah hoogi kiya kehty ho aplog? zaroor apni rayee share ki jiyee ga. Jazzak-Allah.
"Abu Huraira reported: The Messenger of Allah, peace and blessings be upon him, said:
إِذَا دَخَلَ شَهْرُ رَمَضَانَ فُتِّحَتْ أَبْوَابُ السَّمَاءِ وَغُلِّقَتْ أَبْوَابُ جَهَنَّمَ وَسُلْسِلَتِ الشَّيَاطِين
"Jab ramadan ka maheena shuru hota hai to Janat k darwazy khool diya jaty hain or jahanum k darwazy band kr diya jaty hain, or shayateen ko qaid kr diya jata hai."
Source: Ṣaḥīḥ al-Bukhārī"