Baki ab royse Sy taluq banan pary ga waisy bhi Russian ha bus name ki Tarah larki bhi ho toh line set hojai ga. Baki royse ka LinkedIn profile daina agr apky pass available ho.
Zain bhai yeh kis field men agaye aap..

Royse ko set krne k chakkar men ho, haha.
Acha jis topic ko aap log discuss kar rhe ho us pe main k apna nazariya aur knowledge share karta chalon... Jahan tak mujhe pata hai aur andaza hai jitne bhi campaign managers hain unho ne apne services ki thread bnai hui hti hai Services section men, Bitcointalk pe, aur chonke wo pehle se reputable hain aur unka is cheez men experience hai, toh jis project ko apni signature campaign run krni hoti hai Bitcointalk pe toh wo log inko contact karte hain inki services ko dekh k qk yeh log apne thread men sb kuch dalte hain, portfolio wagera.
Baqi yeh ho sakta hai k yeh log forum se bahar bhi proposals bhejte honge projects ko, lekin inka ziada tar kam is tarha hi hota hai... Sbse important cheez yeh hai k yeh log experienced hain aur reputable bhi jiski waja se inko kam asani se mil jata hai forum k through hi, warna agar koi is field men new ho aur management men ana chahta ho usko shoro men projects ko convince krne men mushkil hogi aur khud hi jaa jaa k reach out krna hga qk inexperienced ko koi khud se toh nai hire karega...
Banda agr pitch kre toh khayal rakhe k agar aap unko convince kar skte ho k aap ache tareeke se manage krloge, toh wo aapko chance de skte hain, lekin as a new manager, yeh baat lazmi hai k aap unko koi aesi waja do jiski waja se wo aapko hire karen, aur mere khayal men wo waja aapki pay rate ho skti hai qk agar aap dosron se munasib rate men wohi kam kr k do toh wo yaqeenan 2 bar sochenge.
