Nhi mery ji rishtedar hain like dadky wo sb akhty hi rhty like mery gr ky sath dain bai, samny sb mery dadky hi hain, masha Allah sy sb 1 hi jagga bethy hain to Eid ki Nimaz padh kr sb ki trf chkr lganaa sirf 1 2 ghnty ki baat hai isi chkr lgany my Eid deny or leny ka bi kaam ho jata hai. Mujhy to khair itni koi khas eidi nhi mili lekin umr ky hisab sy jitni mil gai utni bhtr hai. Haha
Baki Biwi ky rishtedaro ki trf jana konsa asan or wishing kaam hai, as mai ny dekha hai kasy log jaan judhaty hain ky biwi ky rishtewadro ki trf na hi jana padhy haha agr saliya hoon to eidi alg sy deni padhy gi haha. You know, eidi deny ka hisab fr out of control bi chala jata. Acha yaar wesy biwi or shadi shuda topic pr baat ho hi rhi hai to ku na 1 topic us pr bi create kr liya jai like dono ky hakook, waldain ky hakook, or sb usi 1 topic my discuss kiya jai wesy to deen duniya name sy 1 topic hai waha mai abhi itna active nhi hoon. Lekin still what you think about this?
Baat to sahi ki hai apny jo ab age chal rhi hai es umar mai aa kr dainy parrty hain, to agar koi apko es umar mai b eidi dy rha hai to eska mtlb wo apsy mohabat krta hai, apko apny dill k kareeb rakhta hai, so jitni mil jaye khoosh hona chaheya. Jaha tak baat rhi mari meray ak chacho Allah Jannat Nasseb kary, wo daity thy eidi, or ab jab b eid ya koi b life mai khooshi ka moment ata hai unki kami mehsoos hoti hai. Death to ak real factor hai jisko ak din hum sab ny face krna hai, So in short term Toh Ensaan ko lagta hai k asa nahi honna chaheya tha Lekin mere pyaare dost, Allah Rab ul Izaat ke esmai bohat behtri hoti hai. Baki Allah Pak hum sabki moot asani wali kary or moot k waqat kalma taiyeba naseeb farmayee. Or jo hamare azeez, or tamam Musalmaan bhai es duniya sy jaa chuky hain un ki magfirat farmayee. Ameen!
Bas apka lagta hai ab shadi krny ka dill kr raha hai or biwi k rishty daro ki taraf janay ka b dill kr rha hai haha, laikn pehly zaroori hai ap hamri pehly bhabi doondo, unky sath shadi kro jana na janna baad ki baat hai haha, well shadi krny ka dill kis ka nahi karta haha, wo ak kahavat hai na, shadi ka laddo jo khaye wo b pachtayee or jo na b khaye wo b so hum ny abi tak nhi khaya to chul rehti hai k ho jaye Jaldi jaldi. Baki Allah sy dua karni chahye Allah Pak sab bhaiyo meray samait or sab behnno k naseeb achy kary, sabko rishty barkato waly kary Ameen!
Baki Dear rhi baat topic ki so i don't think so k zaroorat paray gi as jo already bana howa hai Deen Duniya akhrat wala waha par b hum sab kuch discuss kr skty hain, abi aj kal namaz walay topic par waha discussion ho rhi hai, laikn thempen bhai ny new topic jahaad wala start kiya hai, jo k ak achi baat hai, haaan agar ap shaadi, biwi bachoo or walaidain k haqqok k related new topic start krna cha rhy ho waha wo b welcome hai, as hum sab mil kr waha seekh rhy hain, well ap sooch rhy hoongy k meray khayal mai new topic bana q munasib nahi rhy ga to wo ya hai k asay to thread spamming kafi ho jayee gi as jis cheez ko hum ak he jaga discuss kar skty hain jo k ak well declare jaga hai asi discussion k liya to new thread create krna gair munaasib rahy ga, well ya mera just opinion hai aur agar apko lagta hai k zaroort hai to ap create kr skty hain. JazakAllah!